bolna baada-kashon se na zara ai waiz kan pakdunga jo qulqul ko suna ai waiz dukhtar-e-raz ko jo kahta hai bura ai waiz us afifa ne tera kya hai kiya ai waiz jam-e-kausar ki jo khwahish hai dam-e-baada-kashi bazm-e-rindan-e-qadah-nosh mein aa ai waiz joshish-e-shisha-o-saghar-shikni ka hai bayan munh tode koi badmast tera ai waiz jam-e-mai daur mein la charkh-e-kuhan ki surat dekhta hai jo tujhe rang naya ai waiz tut jae na kahin tere kade hathon se dil mera shisha-e-nazuk hai suna ai waiz lot ho tu jo na maston ki tarah kya mani munh laga bint-e-inab ko to zara ai waiz parsai to zara zahid-e-makkar ki dekh rahn-e-mai khirqa-salus hua ai waiz chadh ke mimbar pe na makkar darogh itna bol munh mein bu aati hai jhute ke suna ai waiz har-nafas 'shad' yahi qaul hai matwalon ka hum ne saunpa tujhe shaitan ko ja ai waiz