ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf mera tere siwa nahin dhyan aur ki taraf nawak mujhe raqib ko barchhi lagaiye tir us taraf chale to sinan aur ki taraf mujh ko suna ke ghair ke upar palat piro palto jo guftugu mein zaban aur ki taraf hur-o-pari pe kya hai hamara siwae yar dil aur ki taraf hai na jaan aur ki taraf ghar dil mein tu hamare khuda ke liye na le ai khanuman-kharab makan aur ki taraf hum faqa-mast rizq-e-muqaddar pe shad hain bheje khuda taam ke khwan aur ki taraf urdu mein 'mushafi' ko bhi ustad kah ke 'shad' aawaza kas gaya ye jawan aur ki taraf