bosa liya jo chashm ka bimar ho gae zulfen chuin bala mein giraftar ho gae sakta hai baithe samne takte hain un ki shakl kya hum bhi aks-e-aina-e-yar ho gae baithe tumhaare dar pe to jumbish talak na ki aise jame ki saya-e-diwar ho gae hum ko to un ke khanjar-e-abru ke ishq mein din zindagi ke katne dushwar ho gae