suna hai zakhmi-e-tegh-e-nigah ka dam nikalta hai tera arman le ai qatil-e-alam nikalta hai na aankhon mein murawwat hai na ja-e-rahm hai dil mein jahan mein bewafa mashuq tum sa kam nikalta hai kaha aashiq se waqif ho to farmaya nahin waqif magar han is taraf se ek na-mahram nikalta hai mohabbat uth gai sare zamane se magar ab tak hamare doston mein ba-wafa ek gham nikalta hai pata qasid ye rakhna yaad us qatil ke kuche se koi nalan koi bismil koi be-dam nikalta hai