bosa na de gale na laga hath mat mila ai yar-e-khush-jamal magar samne to aa do chaar gaz ke fasle se muskura ke dekh do chaar gaz ke fasle tak aa ke laut ja ya ghar mein baith aur mujhe taswir bhej de fasl-e-waba mein wasl ka andaz hai juda khidki se jhank jhank ke khush ho ai ru-e-khush pat khol dekh dekh ke kuchh der muskura guzren waba ke din to baghal-gir howenge arman zabt kar ai mere yar tham zara