bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe fasl-e-gul surat-e-shabnam nazar aati hai mujhe sham-e-ummid ki lau baad-e-hawadis mein bhi apne markaz pe hi har dam nazar aati hai mujhe garm-raftar hain khurshid-o-mah-o-arz-o-sama zindagi jumbish-e-paiham nazar aati hai mujhe gham-o-andoh o masaib ke siyah abr mein bhi ek tajalli hai jo paiham nazar aati hai mujhe jaane kya aaj gulistan mein payam aaya hai aankh har phul ki pur-nam nazar aati hai mujhe sham-e-gham hai ye ki hai matla-e-sham-e-ummid raushni taron ki maddham nazar aati hai mujhe nala-e-nim-shabi aah-o-fughan-e-sahari har sada ishq ki mubham nazar aati hai mujhe har dar-e-mai-kada-e-ishq ke aage 'wahshi' zohd-o-taqwa ki jabin kham nazar aati hai mujhe