dar-parda-e-bahaar jo wo naghma-khwan na ho bulbul se nala gul se tabassum ayan na ho ghawwas-e-bahr-e-ishq na tufan-e-gham se dar ye bhi shanawari ka teri imtihan na ho nakaami-e-khirad se mujhe ab ye khauf hai sai-e-junun bhi meri kahin raegan na ho aisa koi maqam na ab tak mila jahan meri jabin ho aur tera aastan na ho us be-nishan ka mil nahin sakta kabhi suragh jab tak koi talash mein khud be-nishan na ho main bhi mita chuka hun rah-e-ishq mein hayat mera hi ye ghubar pas-e-karwan na ho 'wahshi' tariq-e-ishq mein ruswaiyan bhi hain kitna hi dard dil mein ho lab par fughan na ho