bu-e-gul chahte hain raqs-e-saba chahte hain

bu-e-gul chahte hain raqs-e-saba chahte hain
band kamron ke makin taza hawa chahte hain

muflisi hosh uda deti hai insanon ke
ye nasha kam ho to daulat ka nasha chahte hain

kab kaha hum ne kisi zohra-jabin ki hai talash
jo hamein dhund sake us ka pata chahte hain

ye bhi manzur nahin chand ke bashindon ko
hum ghani raat mein mitti ka diya chahte hain

hum se naraaz hain suraj ki shuaen to rahen
hum to bas raushni-e-ghaar-e-hira chahte hain

sab ko milta hai ye andaz-e-faqirana kahan
hum pareshan hain magar sab ka bhala chahte hain

jin ka sar dekh ke kase ka guman ho 'masum'
wo bhi is daur mein dastar-e-ana chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close