khayal nutq se begana ho to kya kahiye lab-e-khamosh hi afsana ho to kya kahiye main jaanta hun ki tauhin-e-waza hai masti yahi shariat-e-mai-khana ho to kya kahiye jamal-e-dost ko diwangi se kya matlab dil apne aap hi diwana ho to kya kahiye ho koi aur to us se gila munasib hai magar jo dost hai begana ho to kya kahiye baghair saghar-e-mai bhi hai kaif ka imkan tera khayal hi rindana ho to kya kahiye main chahta hun kahun rang-e-ishq ki rudad suluk husn-e-harifana ho to kya kahiye aziz dil se ziyaada hai mujh ko ismat-e-raaz har ek taraf yahi afsana ho to kya kahiye mazaq-e-bazm ki islah mumkinat se hai farogh-e-shama hi parwana ho to kya kahiye shabab dawat-e-rangini-e-nazar hai 'ziya' magar nazar hi faqihana ho to kya kahiye