bu-e-gul rang-e-hina naz-e-nasim-e-sahari

bu-e-gul rang-e-hina naz-e-nasim-e-sahari
tere afsun ki sab ai dost hai afsana-gari

ek hi haal pe qaem hai azal se ab tak
husn ki ishwa-gari ishq ki shorida-sari

jaane wale to sitaron se pare ja pahunche
ahl-e-mahfil liye baithe rahe shishe ki pari

ab koi farq nahin in mein khazaf hon ki guhar
hae ai ahd-e-basirat ye teri be-basari

kitne majruh hain is daur mein ehsas-o-shuur
kitni mazlum hai is ahd mein baaligh-nazari

tujh ko ai dost 'wafa' yaad rahe ya na rahe
han magar yaad rahegi meri viran-nazari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close