tab-e-nazar ki qaid hai saKHt harim-e-zat mein

tab-e-nazar ki qaid hai sakht harim-e-zat mein
dekhun kisi ko har ghadi bazm-e-tasawwuraat mein

sahmi hui ajal rahe tere harim-e-zat mein
hosh se kaam le agar kar-gah-hayat mein

dars-e-hayat dhund lo apni hasin sifat mein
dekho jamal-e-zindagi zarra-e-kaenat mein

laun kahan se tab-e-gham ishq ki kaenat mein
jalwe tadap ke rah gae mahfil-e-iltifat mein

bazm-e-nashat dekh kar raqsan hai lutf-e-zindagi
ranj-o-alam khajil hain kyon apne harim-e-zat mein

naz se kaam lijiye jalwon se aap kheliye
khud ko fana na kijiye dil ki tajalliyat mein

lutf-e-sitam na puchhiye hasrat-e-dil na jaanchiye
zauq-e-junun bhi gum hua shauq-e-mushahidat mein

hasti-e-gum-shuda ke sath dard-o-alam ki justuju
jalwe ko pech-o-tab hai husn ki kaenat mein

kahte hain jis ko maut sab jaaniye us ko zindagi
us mein chhupi hayat hai wo hai chhupi hayat mein

paikar-e-dard ban ke bhi aaya hai koi bar-bar
mere tasawwuraat mein mere takhaiyyulat mein

un ki nazar ki qaid kya apni nazar ki shart kya
jalwa bhi gum raha magar apni tajalliyat mein

mujh ko 'wafa' se rabt hai tujh ko 'wafa' se ehtiraaz
ye hai meri sarisht mein wo hai teri sifat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close