bujh chuki aag magar ab bhi jalan baqi hai

bujh chuki aag magar ab bhi jalan baqi hai
meri aankhon mein shab-e-gham ki chubhan baqi hai

kanch ke zarf zaruri nahin pine ke liye
ab bhi mitti ke pyalon ka chalan baqi hai

hone wala hai shab-e-gham ka sawera lekin
ab bhi aankhon mein andheron ki ghutan baqi hai

kab fasilon ne hawaon ke safar ko roka
phir bhi diwar ka zindan mein chalan baqi hai

kitne aaram se sota hai safar kar ke magar
qabr kahti hai musafir ki thakan baqi hai

lut gai apne asase ki har ek shai lekin
bas buzurgon ki duaon se watan baqi hai

raat kat jaegi aasar nahin hain 'kausar'
phir bhi ummid ki halki si kiran baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close