bujh gae manzar ufuq par har nishan maddham hua lamha lamha sara rang-e-asman maddham hua thak gae ham-rah mere jagne wale sabhi aakhir-e-shab mujh mein bhi ek shor-e-fughan maddham hua mahw ho jaunga main bhi ek din har zehn se aainon mein jaise aks-e-raftagan maddham hua raat dhalte dhalte aai subh ki dahliz tak dil ne lai tabdil kar di saz-e-jaan maddham hua hasil o darkar ki har fikr zail ho gai ek nazar utthi har ek rang-e-ziyan maddham hua ab kahan wo sahra-zad o pasdaran-e-junun sahra sahra wahshaton ka har nishan maddham hua harf-e-dil-dari nahin rasm-e-dil-azari nahin lahja-e-har-mehrban na-mehrban maddham hua ek charagh ek aaina meri mata-e-be-baha rah gaya harf-e-yaqin naqsh-e-guman maddham hua har nishan-e-baam-dar jab mit gaya 'aslam' to kya zor-e-tufan tham gaya aab-e-rawan maddham hua