bujh gae shoale dhuan aankhon ko pani de gaya ye achanak mod dariya ko rawani de gaya ab to us ki dhup mein jalta hai mera tan-badan kya hua wo mehr jo subhen suhani de gaya ji mein zinda ho gain kya khwahishen bisri hui phir koi yusuf zulekha ko jawani de gaya phir hua ehsas yun mujh ko ki main ek naqsh hun kaun taswiron ko hukm-e-be-zabani de gaya ped nange ho gae raston pe patte hain abhi han magar tufan kuchh yaaden nishani de gaya main subuk-sar tha hawaon ki tarah par ab nahin yak-ba-yak rukna tabiat ko girani de gaya bolta chehra jhuki aankhen chhupa mat hath se tera chup rahna mujhe kya kya maani de gaya jaise mere pair mauj-e-wapsin par jam gae har naya lamha koi surat purani de gaya ai lab-e-goya na chhin jae kahin ye zaiqa chatiye wo zakhm jo shoala-bayani de gaya main ne 'shahid' aaine mein apni surat dekh li ye zara sa waqia puri kahani de gaya