nam-e-tarsil ke soton ko chhupae rakkha mujh samaat ne sadaon ko chhupae rakkha ped jalte rahe aawara rahi gard-e-malal dhup ne abr ki chhanw ko chhupae rakkha taq tha khwab tha tanhai thi tariki thi raat ne sirf charaghon ko chhupae rakkha ishq mein hum ne tamannaon ki wahdat ke liye ek duje se mizajon ko chhupae rakkha ai chaman-zad-e-shafaq naz-e-gul-e-sarw-khayal hum ne khud mein tere khwabon ko chhupae rakkha ai yaqin-tab-badan teri tarashidagi se main ne jhadti hui poron ko chhupae rakkha dhup ujlae mera chehra ki main bhi sochun sae ne kaise kharashon ko chhupae rakkha