bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna dil mein ek gosha-e-ehsas-e-ziyan hi rakhna phir isi rah se milegi nae iblagh ko samt sher ko dard ka uslub-e-bayan hi rakhna aah manzar ko ye barfati hui be-safari sath pighle hue raston ke nishan hi rakhna kah na sakna bhi bahut kuchh hai riyazat ho agar zakhm honton ke sar-e-ijz-e-bayan hi rakhna jaise wo saneha lamha bhi zamana bhi hai 'saz' yaad us shakhs ke jaane ka saman hi rakhna