na puchh ai mere gham-khwar kya tamanna thi dil-e-hazin mein bhi aabaad ek duniya thi har ek nazar thi hamare hi chaak-daman par har ek saat-e-gham jaise ek tamasha thi hamein bhi ab dar o diwar ghar ke yaad aae jo ghar mein the to hamein aarzu-e-sahra thi koi bachata hamein phir bhi dub hi jate hamare waste zanjir mauj-e-dariya thi baghair samt ke chalna bhi kaam aa hi gaya fasil-e-shahr ke bahar bhi ek duniya thi tilism-e-hosh-ruba the wo manzar-e-hasti faza-e-dida-o-dil jaise khwab aasa thi koi rafiq-e-safar tha na rahbar koi junun ki rah mein 'gulnar' jada-paima thi