bujh gai sham-e-haram bab-e-kalisa na khula khul gae zakhm ke lab tera daricha na khula dar-e-tauba se bagulon ki tarah guzre log abr ki tarah umad aae jo mai-khana khula shahr-dar-shahr phiri meri gunahon ki bayaz baz nazron pe mera soz-e-hakimana khula nazninon mein rasai ka ye aalam tha kabhi lakh pahron mein bhi darwaze pe darwaza khula hum pari-zadon mein khele shab-e-afsun mein pale hum se bhi tere tilismat ka uqda na khula ek ek shakl ko dekha hai badi hasrat se ajnabi kaun hai aur kaun shanasa na khula ret par phenk gai aql ki gustakh-labi phir kabhi kashf-o-karamat ka dariya na khula