faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue

faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue
qalam hai raqs mein aashob-e-jaan ke hote hue

hamin mein rahte hain wo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasman ke hote hue

ba-zid hai dil ki nae raste nikale jaen
nishan-e-rah-guzar-e-raftagan ke hote hue

jahan-e-khair mein ek hujra-e-qanaat-o-sabr
khuda kare ki rahe jism o jaan ke hote hue

qadam qadam pe dil-e-khush-guman ne khai mat
rawish rawish nigah-e-mehrban ke hote hue

main ek silsila-e-atishin mein baiat tha
so khak ho gaya nam-o-nishan ke hote hue

main chup raha ki wazahat se baat badh jati
hazar shewa-e-husn-e-bayan ke hote hue

ulajh rahi thi hawaon se ek kashti-e-harf
padi hai ret pe aab-e-rawan ke hote hue

bas ek khwab ki surat kahin hai ghar mera
makan ke hote hue la-makan ke hote hue

dua ko hat uthate hue larazta hun
kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close