bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par

bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par
kohr ke kichad mein tadpe hain parinde raat-bhar

jaane phir kin daldalon se aakhiri aawaz den
apni be-manshur umren apne be-manzil safar

mere bahar chaar-su marti sadaon ka sarab
tu bikharna chahta hai to mere andar bikhar

tu kanwal ki shakl mein phutega apni zat se
jism ki khwahish ke gahre paniyon mein bhi utar

phir meri mitti mein apni chahaton ki sunghna
pahle meri sans ke sunsan jangal se guzar

dil mein 'nasik' rah gai hain aarzu ki do lawen
ek khush aadat si ladki aur ek chhota sa ghar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close