ghar bulata hai kabhi shauq-e-safar khinchta hai daud padta hun mujhe jo bhi jidhar khinchta hai is tarah khinchti hain mujh ko kisi ki aankhen jaise tufan mein kashti ko bhanwar khinchta hai kaise mumkin hai bhala chand na dekhe koi husn kaamil ho to phir khud hi nazar khinchta hai sham dhalte hi teri samt chala aata hun jaise bhatke hue panchhi ko shajar khinchta hai us ke kuche se guzarne ka sabab hai tasir ek jhonka sa hai khushbu ka idhar khinchta hai shauq ki baat hai warna sukhan aasan nahin ek misra bhi miyan khun-e-jigar khinchta hai