bujh jae dil bashar ka to us ko shifa se kya kis darja hogi kargar us ko dawa se kya jhulsa ke rakh diya jise baad-e-sumum ne ghunchon se kya gharaz use baad-e-saba se kya do waqt jis gharib ko roti na ho nasib mazhab ka kya kare use zikr-e-khuda se kya rahne ko jhonpada bhi na jis shakhs ko mile us ko saza ki fikr kya us ko jaza se kya jis ke badan pe gosht dikhai na de kahin us aadmi ko ruh ki nash-o-numa se kya tang aa chuka ho kashmakash-e-zindagi se jo kya mah-washon se kaam use dilruba se kya fikr-e-maash hi se na fursat mile jise sher-o-adab se kya use mehr-o-wafa se kya sunta ho jo zamir ki aawaz dosto us ko kisi khizar se kisi rahnuma se kya rahta ho apni zat mein jo mast har ghadi us ko sara-e-dahr ki aab-o-hawa se kya kahna ho jo bhi aap use barmala kahen lafzon ke her-pher se tarz-e-ada se kya