bujha bujha sa gul-e-tar dikhai deta hai ajib shahr ka manzar dikhai deta hai main jis ke waste phulon ka haar laya hun usi ke hath mein khanjar dikhai deta hai ye shahr-e-shishagaran ko khabar nahin shayad har ek hath mein patthar dikhai deta hai yaqin kaise karun ghair ki mohabbat ka ki apna bhai sitamgar dikhai deta hai qalam uthane ka jis ko abhi shuur nahin wo aadmi bhi sukhnawar dikhai deta hai nigah dali hai jab se mere masiha ne bulandiyon pe muqaddar dikhai deta hai tumhaari bazm mein tarikiyan hain kyon 'anjum' falak pe chand sa dilbar dikhai deta hai