bujha dale hawa ne shahr ke sare diye par use afsos ratti-bhar nahin apne kiye par ye mat puchho ki kitni martaba hum ne nikala tumhaare khat nahin aane ka ghussa dakiye par wo jab tak ud rahi thi ho nahin paya ye mumkin hai chidiya ab qafas mein chain se gin lijiye par suni hai jab se hum ne bhediya aaya kahani yaqin insan par kam hai ziyaada bhediye par nikali jaegi ab khaal is ki dekhna tum mila hai jo tumhaara baal mere tauliye par