ufuq saya safar dhoka qadam kartab bas ek thokar hai aur ye gard-zar-e-shab main khali ho raha hun in khalaon mein zaban se gir rahe hain lafz be-matlab badan dikhte nahin chehre to raushan hain ajab si mashalen le kar chale hain sab ye bahti mauj hai patal tak gahri yahan kya dhundte ho gum-shuda mansab nazar hatti nahin tedhi lakiron se ta'ajjub kya jo hum hain har nafas be-dhab mujhe ghere mein rakkhen naddiyan nale main shoala hun lapak jaun na jaane kab