bujha deta hawas ki tishnagi wo jam hai saqi jahan main jis se milta hun wahi nakaam hai saqi nasha gahra kahan itna ki hon chaudah tabaq raushan taraqqi-yafta mulkon ki baada kham hai saqi mere atraf hai tira-shabi mein nur ka halqa ki sham-e-rah maikhane se ghar tak jam hai saqi kitab-e-sirat-o-akhlaq de insan ke hathon mein taraqqi danish-o-ijad ki nakaam hai saqi suna iqbaal-e-isyan khalwaton mein wajh-e-bakhshish hai kalisaon mein ye tarz-e-ibaadat aam hai saqi wahi zalim hain shoala-bar insanon ki basti par wo israel jin par barish-e-ikram hai saqi amal-paira wahi hain khush-khor-o-khush-zi pe sakhti se zaban pe jin ki faqa-kash ka har dam nam hai saqi kahan nan-e-jawin aur roghan-e-zaitun-o-shaikh-e-din rausa ke yahan milan-e-dawat aam hai saqi riwaj-e-madrasa hai dopahar ke waqt qailula yahan shab zinda-dari mail-e-aram hai saqi khafa hai madrasa ek sidq-go-e-nagpuri se tera mai-khwar is mahaul mein badnam hai saqi