soch ki parchhaiyan hain aur main tajrabon ki sipiyan hain aur main shahr hai khamosh jaise ho khandar dhup mein jalte makan hain aur main tez aandhi chirti jae badan dhund mein lipte jahan hain aur main khun mein luthde saron ke darmiyan dar ki khamoshiyan hain aur main phul si chidiya zamin par kya giri zehn mein raqsan guman hain aur main gard hoti manzilen hain samne ret par mitte nishan hain aur main zard mausam odh kar soya badan ruh ki pahnaiyan hain aur main