bujha ho dil to bahaaron ko bhi khizan kahiye har ek phul ko tashbih-e-zakhm-e-jaan kahiye guzar rahe hain nazar se to anginat chehre sawal ye hai kise apna raazdan kahiye hai jis ka zikr sahifon mein ‘ahd-e-mazi ke kahan hai sar pe mere ab wo aasman kahiye tahen shu'ur ki khulti rahengi ta-ba-hayat abhi yaqin-e-ta’ayyun ko bhi guman kahiye 'niyaz' zakhm-e-tamanna hain mere sine mein mujhe nigar-e-mohabbat ka raaz-dan kahiye