ashk-e-khun dard ke ghammaz nazar aate hain fash hote mere sab raaz nazar aate hain wus'at-e-dahr mein har chashm-e-haqiqat-bin ko har taraf 'ishq ke e’jaz nazar aate hain ye mah-o-mehr ye anjum ye zamin aur ye falak mere ruthe hue dam-saz nazar aate hain muntazir ahl-e-nazar ke hain ye ghunche shayad hama-tan gosh-bar-awaz nazar aate hain gham-e-jaanan ko bhula dega dilon se jaise gham-e-dauran ke ye andaz nazar aate hain saz-e-fitrat pe larazte hain jo ghamgin naghme kisi gham-dida ki aawaz nazar aate hain nit-nae ilm-o-hunar ke ye karishme 'farhat' kisi tufan ka aaghaz nazar aate hain