bujhe bujhe se sharare hain zard shakhon par saja gaya hai koi apna dard shakhon par safir-e-shab ka koi ashk dhundte honge hawa ke jalte hue hont sard shakhon par ayan hai rang-e-taghazzul gulon ke chehron se bayaz-e-rang nahin fard fard shakhon par lapete nur ki chadar mein dard ke sae bhatak raha hai koi shab-naward shakhon par hawa ki god mein mauj-e-sarab bhi hogi girenge phul to thahregi gard shakhon par piye hue hain shajar intiha-e-karb ka sam ki hai numud-e-gul-e-la-jaward shakhon par urus-e-bu-e-bahaaran ne kya shararat ki ki hain safir-e-saba khud-nabard shakhon par wo ek udan mein shohrat ka aasman thahra simat ke rah gae baaton ke mard shakhon par