lagta hai duniya ko lagta thik nahin sath tumhaara aur hamara thik nahin ashk chhupa kar aankh mein hansna thik nahin yani dil hi dil mein rona thik nahin kaun hai jhuta kaun hai sachcha thik nahin be-jaane ye hum ko kahna thik nahin jo jaisa hai duniya us ke liye waisi kyun kahte ho yar ye duniya thik nahin dil ki baat ko dil mein rakhna achchha hai dil ki baat zaban par lana thik nahin main ne mana main barbaad-e-mohabbat hun lekin barbaadi ka charcha thik nahin meri nazar mein us se bada hamdard nahin jis ne kaha tha dil ka lagana thik nahin jis se kisi ki dil-azari ho 'asim' bhul ke aisi baaten karna thik nahin