bujhi bujhi si nazar mein qarar kis ka hai hamein bata do tumhein intizar kis ka hai bahut aziz hain tum ko magar zara socho wo jaan-e-man hai to jaan-e-bahaar kis ka hai suna hai hum ne wo dushman hamein samajhta hai agar ye sach hai to yaro wo yar kis ka hai wo har kisi ko hi shak ki nazar se takta hai pata karo ki use eatibar kis ka hai abhi to us ne qadam hi rakha hai mahfil mein nazar nazar mein abhi se khumar kis ka hai lahuluhan sadak se chalo zara puchhen kate saron mein abhi tak shumar kis ka hai jale gharon mein bhi hum to sahi salamat the batao hum pe abhi ikhtiyar kis ka hai hamein pata hai zamana tumhaara hai lekin tumhein pata hai wo parwardigar kis ka hai