gumrahi se yun kamal-e-agahi tak aa gae hum bahut bhatke magar teri gali tak aa gae in charaghon ko bata do nind se jagen zara badhte badhte ab andhere raushni tak aa gae zor se hansne lage phir umr ke sab mah-o-sal hum ne ye puchha tha kya hum zindagi tak aa gae jo kaha main ne wahan tak koi bhi pahuncha nahin an-suni karte hue sab an-kahi tak aa gae zindagi ke har qadam par ek naya bikhraw hai hum badi tartib se be-rah-rawi tak aa gae ek nae mafhum se tahrir karna hai unhen bahte bahte ab mere aansu khushi tak aa gae har amal ka lazmi hota hai ek radd-e-amal ab fareb us ke meri sada-dili tak aa gae khatm hoti hi nahin 'khalid' ujalon ki talash dhup se hote hue hum chandni tak aa gae