bujhi hai dhup rahmat ki ghata aawaz deti hai suno rahman ko khalq-e-khuda aawaz deti hai bahut mukhlis hai sada-dil hai sab ko jaan se pyara wo markaz par hai us ko har disha aawaz deti hai sitam sah kar bhi jo iman pe qaem rahen un ki zabanen kat bhi jaen to wafa aawaz deti hai badan mein nur hai jis ka wahi aagah karta hai zara si bhul ho to aatma aawaz deti hai dhuan aisa ki aankhen kholna mushkil hua jae lahu ki aag bhadki hai hawa aawaz deti hai yahan par raushni wale bhi aa kar sahm jate hain darakhton par siyahi hai bala aawaz deti hai adab ki paintare-bazi se dil ukta gaya 'paras' talluq munqata kar lun ana aawaz deti hai