gudaz reshmi guft-o-shunid ho maula mataa-e-zehn-e-rasa bhi jadid ho maula ek aisa banda mere ghar mein parwarish pae jo teri rah pe chal kar shahid ho maula jo mere pas hai tawan hai sakhawat ka ye iltifat-o-inayat mazid ho maula hamare zehn ko irfan-e-agahi de de jo nasl-e-nau ke liye bhi mufid ho maula ye bad-numai numaish kabhi na kar pae jo ehtijaj ka jazba shadid ho maula hamare khun ki har bund tegh ban jae nazar ke samne jab bhi yazid ho maula qubul sari ibaadat ho roza-daron ki jo teri marzi hai waisi hi eid ho maula