bujhte suraj ke sharare nur barsane lage rafta rafta chand taron mein nazar aane lage kar gaya bedar patthar ko fan-e-khara-tarash kitne nadida sanam aankhon mein lahrane lage mauj-e-bu-e-gul se bhadki hain dabi chingariyan phir hawa ke sard jhonke jism jhulsane lage kat ke rah jaegi aakhir qismat-e-gham ki lakir tere zindani agar zanjir khadkane lage sar pe suraj tha to naqsh-e-pa bhi raushan the 'samad' dhup ke dhalte hi sae panw phailane lage