wara-e-lutf koi ibtila nikalna tha ye silsila bhi bahut dur ja nikalna tha abhi qubul na thin ye inayaten hum ko abhi dilon se gham-e-muddaa nikalna tha siwae khastagi kuchh pesh-e-kasa-e-zar-khwah hamare kisa-e-khali se kya nikalna tha safar to ek sitara-ghamin tha warna hamein kisi sawad-e-masarrat mein ja nikalna tha ajib manzil-e-bechaargi thi manzil-e-jaan yahin se jada-e-bim-o-raja nikalna tha jabin pe naqsh-e-khudai ubharte jate the dilon se yun to na khauf-e-khuda nikalna tha