bujhti aankhon se meri khwab kahan jata hai ab mujhe le ke ye sailab kahan jata hai ruh to kab se pareshan hai numu ki khatir musht bhar khitta-e-shadab kahan jata hai apni hasti mein to tufan khinche aate hain hai jo panw mein wo girdab kahan jata hai us ki taqdir mein likkha hai nami mein rahna chhod kar aab ko surkhab kahan jata hai apni tahzib ka hum pas bahut rakhte hain ghusse mein lahja-e-adab kahan jata hai jagna meri nigahon ka muqaddar hai 'nisar' aankh se jalwa-e-mahtab kahan jata he