aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat ab sar-e-rah bhi hoti hai sar-e-dar ki baat hum jo karte hain kahin misr ke bazar ki baat log pa lete hain yusuf ke kharidar ki baat muddaton lab pe rahi nargis-e-bimar ki baat kijiye ahl-e-chaman ab khalish-e-khar ki baat ghunche dil-tang hawa band nasheman viran bais-e-marg hai mere liye gham-khwar ki baat bu-e-gul le ke saba kunj-e-qafas tak pahunchi lakh pardon mein bhi phaili shab-e-gulzar ki baat zindagi dard mein dubi hui lai hai 'rahi' aise aalam mein kise yaad rahe pyar ki baat