bujhti hui aaankhon ki umidon ka diya hun main tez hawaon ki hatheli pe rakha hun main apni hi aawaz ki pahchan mein gum hun tanhai ke sahra mein darakhton ki sada hun main roz nikal padta hun anjaane safar par manzil ke qarib aa ke bhi manzil se juda hun har subh nae karb ke chehron se mulaqat har sham bichhadne ka sabab puchh raha hun ye khun mein dube hue masum farishte khamosh larazte hue honton ki dua hun is darja hun sahma hua suraj ki tapish se girti hui diwar ke sae mein khada hun ai khak-e-watan ab to wafaon ka sila de main tutti sanson ki fasilon pe khada hun palkon pe sajae hue sachchai ki shamen na-karda gunahon ki saza kat raha hun dastar salamat na ridaen na qabaen har lamha sulagte hue khwabon ki chita hun