hara-bhara tha chaman mein shajar akela tha shajar pe barg bahut the samar akela tha baqa-e-nur falak par bhi ho gai mushkil umad rahi thin ghataen qamar akela tha yahi to ek tamasha pas-e-tamasha tha tamash-bin the bahut dida-war akela tha rafaqaton se ye tanhai kam nahin hoti sharik-e-bazm to tha main magar akela tha gunah-e-ishq ki kaisi saza mili hum ko ki sang-bar zyaada the sar akela tha kiya tha hum ne safar sath sath yun 'alam' ki main akela mera ham-safar akela tha