bujhti hui aankhon ka akela wo diya tha hijran ki kadi shab mein aziyyat se lada tha rukta hi nahin tujh pe nigahon ka tasalsul kal sham tere hath mein kangan bhi naya tha ek chashm-e-tawajjoh se udhadta hi gaya tha wo zakhm ki jis ko badi mehnat se siya tha bargad ke isi ped pe utrenge parinde sailab-zada ghar ke jo aangan mein khada tha darwesh ki kutiya ke ye lashe pe bani hai viran shikasta si haweli pe likha tha taswir mein us ko hi sar-e-baam dikhaya mazdur zamane ke jo panw mein pada tha wo zakhm judai ka bhala kaise dikhega malba jo mere jism ka andar ko gira tha 'babar' ho ki bahka hua jhonka ya sitara teri hi gali mein hamein jata wo mila tha