kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha jis ne shahr ki diwaron par pahla nara likkha tha lash ke nanhe hath mein basta aur ek khatti goli thi khun mein dubi ek takhti par ghain-ghubara likkha tha aakhir hum hi mujrim thahre jaane kin kin jurmon ke fard-e-amal thi jaane kis ki nam hamara likkha tha sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha