bul-hawas mein bhi na tha wo but bhi harjai na tha phir bhi hum bahrupiyon ko khauf-e-ruswai na tha aandhiyon ne sab mita dale nuqush-e-rah-guzar ret ke sine pe dagh-e-abla-pai na tha raat ke kale kunen mein chhup gaya saya mera is se pahle to kabhi ye rang-e-tanhai na tha wahm ka paikar tha aawezan dar-o-diwar par khidkiyon mein chand mahw-e-jalwa-arai na tha sabz pedon ke tane kat kat ke kyun girne lage ai hawa main qatl-o-ghaarat ka tamannai na tha raushni deti thi chamkile badan ki tazgi warna main chehre ke khal-o-khad ka shaidai na tha kya tar-o-taza tha aab-e-subh se nakhl-e-shafaq bujhte suraj mein to ye andaz-e-ranai na tha ek ek kirdar tha apni adakari mein gum us tamasha-gah mein koi tamashai na tha mar gaya 'siddiq' koh-e-gham se takkar mar kar sar mein sauda tha magar zauq-e-jabin-sai na tha