andhere din ki safarat ko aae hain ab ke hain kitni raushaniyan ishtihaar mein shab ke yahan to dekh liye hum ne hausle sab ke mile na dost na dushman hi apne mansab ke bas ek baat pe nakaamiyon ne gher liya zaban se aae labon tak na harf matlab ke jo lab-kushada the wo muddai bane lekin jo dil-kushada the wo kaam aa gae sab ke ek aah-e-khushk hi apne nasib mein nikli bahut hi shor sune jazba-e-laba-lab ke judaiyan to muqaddar hain lekin ek gham-e-hijr ajib phul se sathi bikhar gae ab ke bhatak raha hai dayar-e-khirad mein kyun gham-e-dil gharon ko laut chuke sare ba-wafa kab ke zamin-e-sakht mein lafzon ke gul khilae hain ghazal kahi to hue qail apne kartab ke hazar us ne bhi chakkar diye magar 'baqar' rahe na hum bhi kabhi aasman se dab ke