bulae jate hain maqtal mein hum saza ke liye ki ab dimagh nahin arz-e-muddaa ke liye azal ke roz hamein kaun se wo tohfe mile ki hum se dahr ne badle gina gina ke liye wo wade yaad nahin tishna hai magar ab tak wo wade bhi koi wade jo mai pila ke liye wo lamha bhar ki mili khuld mein jo aazadi to qaid ho gae mitti mein hum sada ke liye shumar-e-tar-e-gareban mein hai jo uljhe hue wo hath bhi to hamein dijiye dua ke liye bahut giran hai agar tum pe intizar-e-bahaar hamara khun sar-e-dast lo hina ke liye