jhuk gai jab ye ana tere dar-e-saffak par mujh se mat puchho ki kya guzri dil-e-be-bak par is zamin se aasman tak main bikharti hi gai ab na simti to girungi ek din main chaak par main rahi ek hijr mein aur ek ab milne ko hai jaan se main yun gai to khak dalo khak par ab wahan phutenge phir se lala-o-gul dekhna ho raha hai khun ka chhidkaw arz-e-pak par ye teri yaadon ke jugnu ya ki aansu hain mere jo sitare se chamakte hain meri poshak par kyun dayar-e-ghair mein murjha gae chehron ke phul barf si girti rahi is dida-e-nam-nak par jis tarah guzri hai meri zindagani kya kahun tu wahan baitha hai phir kis ke liye aflak par