buland barq ke aage bhi hausla rakhna jale jo ek nasheman to dusra rakhna jo aazmana ho mujh ko to phir mere aage khum-o-surahi nahin sara mai-kada rakhna wo sach ki khoj mein kis kis ka dekhta chehra jo khud hi bhul gaya sath aaina rakhna kahin uga ho wo gulshan ho ya ki sahra ho hamesha phul ki khushbu se wasta rakhna dilon ke beach mein diwar tanne walo khuli hawa mein nikalne ka rasta rakhna wo ajnabi ki shanasa ho ye khayal rahe milo jo us se to thoda sa fasla rakhna saubaton se jo dil tutne lage 'kausar' nazar ke samne taswir-e-karbala rakhna