ek ajab si duniya dekha karta tha din mein bhi main sapna dekha karta tha ek khayal-abaad tha mere dil mein bhi khud ko main shahzada dekha karta tha sabz pari ka udan-khatola har lamhe apni jaanib aata dekha karta tha ud jata tha rup badal kar chidiyon ke jangal sahra dariya dekha karta tha hire jaisa lagta tha ek ek patthar har mitti mein sona dekha karta tha koi nahin tha tishna registanon mein har sahra mein dariya dekha karta tha har jaanib hariyali thi khush-haali thi har chehre ko hansta dekha karta tha bachpan ke din kitne achchhe hote hain sab kuchh hi main achchha dekha karta tha aankh khuli to sare manzar ghaeb hain band aankhon se kya kya dekha karta tha