bulandi manzilon ki azm se badh kar banata hun nishan-e-rah khurshid-o-mah-o-akhtar banata hun ye apna zauq hai ki pattharon ke shahr mein rah kar tumhaare waste shishe ka hamdam ghar banata hun masaib se na ghabrana meri fitrat mein shamil hai gham-o-ranj-o-alam ka roz ek daftar banata hun mere shahin-sifat bachche had-e-parwaz tak pahunchen kuchh is andaz se main un ke baal-o-par banata hun hun apni qaum ka jarrah yun kahte hain ahl-e-fan isi khatir main fikr-o-fan ke kuchh nashtar banata hun meri ghazlon ka ek ek sher goya ek sipahi hai main kaghaz ke sipahi kat kar lashkar banata hun kahan mumkin wo apne 'shad' se baaten karen dil ki khayalon mein visal-e-yar ke manzar banata hun